Assalam O Alaikum My name as mentioned above is muhammad ehtisham. I belong to lahore.
Zakat par pehla haq rishtay daron ka hota hai ye to hum sab jantay hi hain. Meri khala bohat ghareeb hain or un k ghar ka kharch bhi family k sadqa se chalta hai. masala thora sa uljha sa hai is lye ise ghor se dakhain. un k pas apna ghar bhi nai hai or wo mere mamu k ghar main rehti hain.un ko shohar thora bohat kamata hai jis se un k ghar ka sara kharch nai chal pata. Masla ye hai k mere cousin ka bohat bara business hai or wo alhamdulillah har saal zakat bhi ada karte hain pehla sawal ye hai k kia zakat ki raqam se meri khala ka ghar banaya ja sakta hai? ghar pe qul lagat taqreeban 25 lakh hai agar kisi ko zakat deni ho to kitni deni chahye yani us ki had kitni hai.thori zakat se un ka ghar nai ban paye ga doosra sawal ye hai k pichle sal meri khala ko mere cousin ne 13 lakh rupee dye they k abhi in ko jama rakhain aglay sal is main kuch or mila kar ghar khareed lain ge.ab us 13 lakh ko bank main paray hue ek saal guzar gya hai kya us 13 lakh par zakat wajib ho gi.
teesra sawal ye hai k kya ab meri khala ko mazeed paise zakat main se dye ja sakte hain takay wo apna ghar khareed sakain bazahir to mujhe yehi lagta hai k ab wo zakat ki mustahiq nahin hain magar un k pas ghar nai hai or income b nai aise main wo na to ghar bana sakti hain or ghar ka kharch bhi sadqa se chal raha hai. Quran O Hadith k hawala k sath jawab dijye ga
صورت مسئولہ ميں سائل كى خالہ مذكور رقم مبلغ 1300000لاكه روپے كى مالك ہونے كى وجہ سے زكوہ لينے كى حقدار نہيں بلكہ اس صورت ميں مذكور رقم پر پوراايك قمرى سال گزرنے كى وجہ سے خود اس پر زكوہ اداكرنا لازم ہے اس لئے سائل كو چاہئے كہ وہ اس صورت حال ميں مذكورخالہ كو زكوہ دينے كى بجائے كسى دوسرے مستحق كو دے ،تاكہ اس كى زكوہ ادابهى ہوسكے
یہ کہدینا کہ ’’میں اپنی تنخواہ میں سے سات فیصد اللہ کے راستے میں دیا کروں گا ‘‘
یونیکوڈ مصارف زکوۃ و صدقات 0